Bachpan ka zmana hota tha
khushion ka khazana hota tha
chahat chand ko pakarny ki hoti thi
Dil titli ka dewana hota tha
thak har k school sy aana par khelny bhi jana hota tha
papa ki dant galti par
mammy ka manana hota tha
dadi ki kahani hoti thi
parion ka fasana hota tha
rone ki waja na hoti thi
na hasane ka bahana hota tha
Har khel men sathi hoty the
Har mOOsam suhana hota tha
AB NAHI RAHI WOH ZINDGI
ESA BACHAPAN KA ZAMANA HOTA THA